اردو हिंदी
Nazm | Shaahi Shayari
nazm

Nazm

Nazm

Zeeshan Sahil

;

meri dost ab tum
jahan ho wahan par

na jaane hawaon ki raftar kya hai
sitaron se aabaad

raston mein hail
ye baadal hain kaise

ye diwar kya hai
mohabbat hai aazad

lekin dilon mein
parindon ki tarah

jahan hum hain shayad
wahan roz-o-shab mein

bas ek KHwab hai
aur ufuq par kya hai