اردو हिंदी
Nazm | Shaahi Shayari
nazm

Nazm

Nazm

Zeeshan Sahil

;

jab sitare kahin nahin hote
aasman baadalon ki chadar mein

der tak mahw-e-KHwab rahta hai
aisa lagta hai kho gaya sab kuchh

koi dariya Dubo gaya sab kuchh
dhup khiDki se aa nahin pati

samne rahne wali chizon ko
hum achanak chhupane lagte hain

KHatm hoti hui mohabbat ko
apne dil mein samone lagte hain

zindagi ki purani roTi ko
aansuon se bhigone lagte hain