tendulkar ek roz sitare
aur aakash pe phaile baadal
cricket ke maidan mein aa ke
aankh-micholi khelenge
tum un be-chaaron ke
khel mein
kabhi khaDi diwar na karna
pal do pal
ya jiwan bhar ko
un ka sathi
ban jaane se
pyare tum inkar na karna
agar shoaib-aKHtar ki
gend pe
jaldi out ho jao to
nafrat ka izhaar na karna
jit ya haar ke
bojhal-pan mein
aansu le kar apne man mein
jab bhi tum
tanha baiThe ho
pas paDos ki sari chiDiyan
git sunane aaengi
apne paron par tum ko
ambar tak le jaane aaengi
Nazm
Nazm
Zeeshan Sahil