nazm ek diwar hai
jis ke pichhe se
hum nikalte hain
apne dushman ko marne
aur use muaf kar ke
wapas aa jate hain
nazm
ek phul hai
jo khilta hai
sirf hamare doston
aur mahbubaon ke liye
ya hamare pyaron ki qabr par
aur hamesha khula hi rahta hai
nazm
ek tamgha hai
jo diya jata hai bahaduron ko
jang se wapas na aane par
ya phir aashiqon ko
ek dusre se
hamesha ke liye juda hone par
Nazm
Nazm
Zeeshan Sahil