اردو हिंदी
Nazm | Shaahi Shayari
nazm

Nazm

Nazm

Zeeshan Sahil

;

railway-line station se
mere dil tak aati hai

lekin train hamesha aa kar
ek pul par ruk jati hai

koi sitara engine ban ke
chalta rahta hai

chand bhi ek chimni ke niche
chalta rahta hai

jaane kyun phulon ka
rang badalta rahta hai

sard hawa mein shabnam
patton par lahraati hai

chhupi hui ek chiDiya
maddham git sunati hai