main ne ek KHwab ek lifafe mein
tumhein sab se chhupa ke bheja tha
us ke ham-rah ek kaghaz par
kisi baadal ka surmai TukDa
surKH phulon ke sath rakkha tha
wo tumhein kyun nazar nahin aaya
apne kamre ki band khiDki se
tum sitaron ko dekh leti ho
tez barish mein ek samundar ke
un kinaron ko dekh leti ho
jo kisi ko nazar nahin aate
jo kabhi apne ghar nahin jate
un parindon ko yaad karti ho
wo bhi ek KHwab dekh sakte hain
ye tumhein kyun nahin bataya gaya
Nazm
Nazm
Zeeshan Sahil