maut aur zindagi ki sarhad par
wo kisi se nahin mile lekin
un ke jaane ke baad logon ne
phul diwar ke qarib rakkhe
mishalen siDhiyon pe raushan kin
ek mauhum si umid mein gum
laDkiyon ki siyah aankhon se
aansuon ki qatar chalti rahi
jaane walon ke gham mein tez hawa
har taraf sogwar chalti rahi
zindagi un ke ghar ke raste par
jaane kyun bar bar chalti rahi
Nazm
Nazm
Zeeshan Sahil