اردو हिंदी
Nazm | Shaahi Shayari
nazm

Nazm

Nazm

Zeeshan Sahil

;

suraj ki ek kiran jab
shabnam se konpalon par moti bana rahi thi

patton mein chhup ke baiThi
ek be-dhyan chiDiya kuchh gunguna rahi thi

ThanDi hawa saDak par
college ki laDkiyon ke

ham-rah ja rahi thi
be-tab ek gilahri

baadam ka shagufa
shayad chhupa rahi thi

guzri hui mohabbat
barish ke sath mil ke

bauchhaar ban gai thi
jab hum wahan nahin the

khiDki ke samne ek
diwar ban gai thi