shaeri
ek moajaza hai
jo zaKHmon ko
phulon mein tabdil kar deti hai
shayad main ne ghalat kaha
kyunki ye phul
koi wazeh shakl iKHtiyar nahin kar pate
in ka koi rang nahin hota
in se koi KHushbu nahin nikalti
in ko nazmon ki kitab mein nahin rakkha ja sakta
mahbuba ko nahin diya ja sakta
doston ko nahin bheja ja sakta
town-hall mein in ki numaish nahin ki ja sakti
koi bank har roz
in ki qimat-e-KHarid ya qimat-e-faroKHt jari nahin karta
har qism ke jazbe se aari ye phul
insani tariKH mein koi numayan maqam
hasil nahin kar paenge
koi inhen KHwabon mein nahin dekhega
ye kisi saDak ke kinare nahin khelenge
inhen koi kashti mein bhar ke nahin le jaega
baghair kisi mausam ke phuTne wale ye phul
shaeri ka moajaza hain
aag miTTi hawa aur pani ki shayad inhen zarurat hi nahin paDti
ye insan ki aawaz ke sath nashw-o-numa pate hain
insan ki KHamoshi mein hamesha zinda rahte hain
insani lams se jila pane wale ye shahkar
insan ki tarah fana nahin kiye ja sakte
hathiyaron ki madad se mutassir nahin kiye ja sakte
shaeri ek moajaza hai
jo zaKHmon ko phulon mein
ya kisi bhi chiz ko kisi chiz mein badal sakta hai
zinda rakh sakta hai
Nazm
Nazm
Zeeshan Sahil