اردو हिंदी
Nazm | Shaahi Shayari
nazm

Nazm

Nazm

Zeeshan Sahil

;

tum ne kitab khol ke dekhi nahin abhi
is mein tumhaare bare mein ek aur nazm hai

is nazm mein safed gulabon ka zikr hai
aankhon mein qaid reshmi KHwabon ka zikr hai

ai dil har ek bar ye KHwabon ki baat kyun
takiye ke pas band kitabon ki baat kyun

har raat aasman pe sitaron se baat kar
dariya ko to na chheD kinaron se baat kar

karta hai kaun roz sitaron se guftugu
hogi nahin KHizan mein bahaaron se guftugu

kuchh der us ki yaad mein KHamosh rah ke dekh
jis ne kitab khol ke dekhi nahin abhi