اردو हिंदी
Nazm | Shaahi Shayari
nazm

Nazm

Nazm

Zeeshan Sahil

;

chiDiya pani pine aai lekin koi baat na ki
main us ko ek laDki ki taswir dikhana chahta tha

pas biTha kar koi adhura git sunana chahta tha
us ke paron ko apne jiwan par phailana chahta tha

thoDi der ko dharti se ambar par jaana chahta tha
chiDiya pani pine aai lekin koi baat na ki

sham se pahle wo bhi apne ghar ko jaana chahti thi
rang-birange tinkon se ek KHwab banana chahti thi

chand sitaron ko suraj ko hath lagana chahti thi
pani pi ke wo bhi ek baadal ban jaana chahti thi