tumhaari raza ko log
meri KHata kahte hain
mere hathon se wo poshak
chhin li gai
jo main pahanne wali thi
aur pahni hui poshak
main utar chuki thi
mere sare aane wale mausam
mansuKH kar diye gae the
main ne koi ehtijaj nahin kiya
apna sar-e-taslim KHam kar diya tha
mujhe itni iza di gai
ki armanon ka resham katna
ab meri bardasht se bahar hai
aur phir mausam mansuKH na hote
phul resham baTorte
meri uryani Dhak jati
tumhaari tabedari mein
main ne apni muTThi kabhi khol kar nahin dekhi
kaun apne KHwab ka
ek TukDa kaT kar
meri uryani Dhanp dega
lao main apne hath ki lakiren miTa dun
Nazm
Nazm
Shabnam Ashai