mere dukhon ki gunj
tumhaari aawaz se surili hai
tumhaari goyai ab lauTi hai
jab man ke saz sajae the main ne
ki tum bolo to dhun ban jae
zindagi ek git ban jae
tum taghaful mein paDe rahe
tumhaari aawaz ki aarzu mein
main ne abhi tak
apne safar ka aaghaz nahin kiya
lekin be-shumar dukh
meri jaan se guzarte rahe
raqs karte rahe
aur wo dard bhi jo meri hamshira ne
zabh hote hue
meri aaankhon mein rakh diya tha
jab se
dukh ji rahi hun
main tumhaare mansube kya
KHwab bhi nahin ji sakti
Nazm
Nazm
Shabnam Ashai