sach se 
ghar nahin bante 
meri lakDi sach thi 
ghar nahin kashti bani 
sach ki kashti ko kheti hui 
meri ruh 
na jaane kin kin paniyon se guzar rahi hai 
pani ki shakl muqarrar nahin 
marne ka waqt muqarrar hota hai 
kashti ko meri ruh se ziyaada 
pani muafiq hai 
dew-dar ki umr pani mein baDh jati hai 
aur duniya mein 
Dhong na rachane wale ki umr 
ghaT jati hai 
maut ke sahil pe utarne ke liye 
main sach ki kashti mein Dol rahi hun
        Nazm
Nazm
Shabnam Ashai

