Dher sari
ret ke niche dabi
ek ruh
der gae
ret haTane ki koshish mein
apne naKHun toD baiThi
yun to
kuchh toDna bhi achchha lagta hai
jo TuTne se bach sakta hai
qatl ho jata hai
waise
qatl hona hi jine ka sach hai
aur
is lamhe ka sach yahi hai
ki sadiyon baad aisa waqia hua tha
ki ret ke zarre
us ki aankhon mein chubh jaane se rah gae
dekha to
samne bhiD thi
shor-o-ghul tha
aur ek khokhli aawaz
jo
dur kahin ja ke
zindagi ka santur
chheD rahi thi
mujhe laga tha
us aawaz pe tumhaari aawaz ka saya tha

Nazm
Nazm
Shabnam Ashai