اردو हिंदी
Nazm | Shaahi Shayari
nazm

Nazm

Nazm

Shabnam Ashai

;

main kis ki beTi hun
meri aaankhon mein

na kajal hai na koi sapna
sapne lux ki Tikiya the

jiwan sagar ki agni mein
pighal gae

kajal main ne kahan rakha?
man ne apni shadi ki

ek chandi ki Dibiya
di to thi kajal bhar ke

yaad hai mujhe
man aksar

kapas ke phul se rui le kar
haldi aur baalingu gundh ke

ek baati banatin
baati shab bhar makkhan mein jala ke

subh
shital kajal

aaankhon mein laga ke
rang-mahal ki gaddi pe

sapne pirotin!
main kis ki beTi hun

meri aaankhon mein
na kajal hai na koi sapna

kajal main ne kahan rakha?