gandhi-peas-foundation ke
unchi chhat wale kamre mein paDi
soch rahi thi
main kal id kaise manaungi?
ki zamin phaT gai
bhaunchaal itna tez tha
main bed se gir kar farsh pe aai
bilkul waise hi
jaise pichhli chand raat ko tum ne
mere hathon mein
chuDiyan chaDhate hue
mujhe farsh pe giraya tha
phir id ke din bhi tum ne jhuT bola tha
aur tumhaare jhuT bolne par
sach ki zaban zabh kar ke
main ne jo qurbani di thi
kya id manane ke liye kafi nahin
ye sochte hue
unchi chhat wale kamre mein
chand raat guzar gai
Nazm
Nazm
Shabnam Ashai