tum ne mujhe itni bar miTa diya hai
ki ab main
bina kisi chehre ke
ji sakti hun
lekin koi mujassama nahin ban sakti
agar ek bar bhi
tum mujhe
paDhne ke baad miTate
main dukh tarashne ki mashq
nahin dohraati
tum dusron ko
dukh dene ki sarshaari mein
ji sakte ho
main bahut sare dukh tarash kar
koi mujassama bana sakti hun
ek bar
ek dukh ki dukhan
tum bhi le lo
mujhe kisi
dukh ka chehra banate hue
likh lo

Nazm
Nazm
Shabnam Ashai