curfew-zada shahr ki
bewa saDken
aankhen kholti hain
nagar ke garbh mein
kya dekhti hain nahin malum
hairat-zada hain
dharti shayad
garbh dhaaran
kar rahi hai
chand chhup kar
khiDkiyon se jhankta hai
aawara kutte
Toliyon mein bhunkte hain
zindagi
barahna so rahi hai
main
raat si kaT rahi hun
puri wadi mein
curfew nafiz hai
Nazm
Nazm
Shabnam Ashai

