sahra-e-hasti
mein
ek chiz
aawara bhaTakti rahi
mar gai
pyas se
zard-ru
chaman mein
gard-o-ghubar
angDaiyan
le raha hai
KHushk patte
muntazir hain
jumbish-e-yak-tar nafas ke
aur
dida nam
TukTuki bandhe
rasta
tak rahe hain
qasid ka
jaane kab
rihai ka parwana
aae ga
ghaTaen
jhum ke aati hain
ghar ke
aangan par
na puchho
kaise risti hain
khul bhi jati hain
par
ghaTaen
kamre se
dur rahti hain
sabza
diwar se bahar
lahakta hai
kamre mein
sirf
ek lamp
jalta hai
maut aur
zindagi
ke darmiyan
fasla bahut
lagta hai
main
maut ke ham-rah
zindagi ke sath
mar rahi hun
KHamoshi ki
aadat Dalo
sukun mil
jae ga
han
KHamoshi
be-awaz KHamoshi
ek bar
alfaz ko
toD do
manon ke
karb se
najat mil jaega
sari jangen
aap hi aap
ruk jaengi
meri aankhon
se ab
alfaz ki
bunden Tapakti hain
Tapakne do
Tapakne do
Nazm
Nazm
Safiya Arib