اردو हिंदी
Nazm | Shaahi Shayari
nazm

Nazm

Nazm

Ratan Nath Sarshar

;

jhalka jhalka sapida-e-subh
jhalka jhalka sapida-e-subh

tare chhupte hain jhilmila kar
hai nur sa jalwa-gar falak par

bhini bhini mahak gulon ki
aur naghma-zani wo bulbulon ki

waqt-e-sahra aur tang hua hai
be-mai sab kirkira maza hai

ek chullu ke dene mein ye takrar
uTho jago sahar hui yar

dariya ki taraf chale nahane
ghaT pariyon ke zanan-KHane

murghan-e-chaman ye nukta-rani
chun brahamnan ye bed-KHwani

naubat-e-rangat jamuna rahi hai
shahansha-e-maza dikha rahi hai