اردو हिंदी
Nazm | Shaahi Shayari
nazm

Nazm

Nazm

Prem Kumar Nazar

;

wo jawani ke nashe mein laDkhaDati Dolti jati hasina
main hun ek pazhmurda-o-pamal sa

darmandagi ke qahr ka mara hua behis musafir
jis ki nazron mein faqat us ke taaqub ki sakat baqi bachi hai

phir bhi mere jism ke ek zinda aur jawed hisse mein
ye dhaDakne ki sada

un ki shaki hai
jo kahte hain ki mera jism KHaki hai