mile kachehri mein ek rose shaiKH KHairaati
hai ek zamane se un ki meri alaik salaik
nahin hai jhuTi gawahi se ijtinab unhen
kiya na aaj tak is par magar kisi ne attack
alawa is ke amiron ke hain ye supplier
ki mal karte hain ye un ki hasb-e-mansha paik
ho jis mein faeda wo kaam kar guzarte hain
kabhi front mein ja kar nahin hain hote back
hijaz jate hain har sal sona lane ko
ye business aaj tak in ki kabhi hui na salaik
ye haj ke din bhi hain labbaik ke ewaz kahte
KHuda ke ghar mein faqat rabbana black black
Nazm
Nazm
Nazish Rizvi