use chahen to aahen
dil ki sab rahen dhuen se tira-o-tarik kar Dalen
nigahen yun karahen
jaise ta-hadd-e-nazar us ki shuaen marg-asa jal phaila den
har ek shab sans ke taron ko uljhae
sahar-dam KHwab-gah par kasmapursi saya saya is tarah manDlae
pairahan-e-lahu mein tar-ba-tar jaise kisi turbat pe lahrae
use DhunDen to raste
jaan ke darpai
jahazon kashtiyon se lahlahate zindagi-parwar samundar
barf se bhar jaen
har jaanib milen koh-e-nida ghol-e-bayaban
aur kabhi KHemon ki KHuni dhajjiyan TuTi tanaben haDDiyan
haibat dilaen
karwan katraen
jaise hum zamin par bojh hon
har samt sidra hai
sitare KHushbuen jugnu hawaen sab ghalat raste bataen
panw nezon par chalen
aur wo to kya
dast-e-talab mein apni KHakistar bhi anqa ho
ise paen to sare mahl
gir jaen iram uTh jaen
peDon aur diwaron ke sae uD chalen
suraj ki kirnen muD chalen kuchh aur duniyaon ki jaanib
ungliyan uTThen sannaTon ki tarah
aur sath chalna KHalq ki ismat-dari jaise
zamin af af se fankaron se neshon se bhari jaise
use chahen to kya
DhunDhen to kaise
paen to pa kar kahan jaen
Nazm
Nazm
Mohammad Izhar ul Haq