ghane peD shaKHon pe baur aur unche pahaD
hari jhaDiyan aur sabze ki moTi tahen
saDak ke kinaron pe khambon ke tar hawa se hilen sarsaraen
rasile jhakoron mein wo tez nashsha ki bas so hi jaen
kisi ek ko pyas lag jae to sab ke sab khelte muskuraate
nashebi chaTanon mein bahte hue miThe jharne ki jaanib
chalen aur hathon ke pyale ko ek dusre ke labon se laga den
kabhi koi bus aae aur jo bhi utre KHulus-o-mohabbat se ahwal-pursi kare
aur asbab sar par dhare ganw ka rasta le
kabhi koi charwaha kandhe pe laThi rakhe aur hathon ko laThi pe laTkae
aahista aahista rewaD liye guzre aur puchhta jae
kyun ji kahan ja rahe ho
kabhi dur ke khet se ek madhur tan uThe aur sab bhul jaen
ki kya kah rahe the
phir abba nazar aaen aur
kankaron aur lakiron ki dil-chasp masum bazi ko sab bhul jaen
koi zin ghoDe pe kasne lage koi saman uThae
shahr se aane wale phalon ki mahak har taraf phail jae
khilaunon ki jhankar dil mein ajab gudgudi si machae
haweli ke chobi munaqqash baDe dar pe dadi khaDi muntazir hon
nashta kab se tayyar hai
aaTh bajne ko hain aaj office nahin
jaenge kya
Nazm
Nazm
Mohammad Izhar ul Haq