اردو हिंदी
Nazm | Shaahi Shayari
nazm

Nazm

Nazm

Malik Ehsan

;

saKHt satah se miTTi haTa kar
gahri zamin ke andar ja ke

jazb ho chuke gadle pani ko upar lata hun
phir tashbihon alamaton

aur istiaron ke bartan mein
us ko saf o kashid kar ke

apni pyas bujhata hun
aur duniya ki tishna-labi bhi

sairabi hasil karti hai