fasl-e-bahaar aai magar hum hain aur gham
har samt se hain ghere hue sadma-o-alam
aai na uf zaban pe sitam par hue sitam
kya imtihan ke waste Thahre hain sirf hum
jab apni quwwaton pe bharosa nahin raha
behtar hai phir jahan se uTha le hamein KHuda
is umr-e-chand-roza mein ki lakh justuju
chhani hai hum ne KHak zamane mein ku-ba-ku
shikwa adu ka kya hai jab ahbab hain adu
jine ki ek second nahin ab to aarzu
hum ne samajh liya ki jahan se guzar gae
jab dil hi mar gaya to sab arman mar gae
hum par giraen charKH ne is had pe bijliyan
dam-bhar mein jal ke KHak huin sari ustuKHan
chalti rahin hawa-e-muKHalif ki aandhiyan
aata nahin samajh mein ki ja kar chhupen kahan
zer-e-zamin bhi chain ki ummid ab nahin
phir kya hai ye bata de koi gar ghazab nahin
makr-o-fareb se jo karen zindagi basar
sau jaan hazar dil se ho qurban har bashar
din raat hum hon aur hon ahbab-e-KHira-sar
iman-dariyon mein kaTi zindagi agar
har ek ki nigah mein bas KHar ho gae
be-sonche-samjhe mustahiq-e-dar ho gae
dawa to ye hai hum bhi musalman hain zarur
kalma jo pochhiye to nahin yaad hai huzur
kya gham agar shikasta azizon ke hain qubur
tera ye is pe had se ziyaada hai kuchh ghurur
melon ke waste jo talab ho to KHub den
qaumi jo koi kaam ho to nam bhi na len
puchha agar ibaadat-e-KHaliq hai koi chiz
farmaya dil mein ye to nihayat hai bad-tamiz
aiyyashiyan jo kijiye to aap hain aziz
ai qaum kahili hai teri ghar ki ab kaniz
achchhi buri ka jab to nahin imtiyaz hai
be-maegi par apni faqat tujh ko naz hai
hushyar koi lakh kare to hai be-KHabar
is darja be-haya ki nahin dil pe kuchh asar
nazan hain sirf bap ke dada ke nam par
qarze mein ho rahi hai magar zindagi basar
dekho to ghair hanste hain hoshyar ho zara
lillah ab to KHwab se bedar ho zara
phulo-phalo ilahi raho shad sar-ba-sar
ho naKHl-e-ittihad hamesha ye barwar
wo din KHuda dikhae ki le aae ye samar
aana hai tum ko manzil-e-maqsud tak agar
Dali hai ittihad ki tum ne jo dagh-bel
himmat na haaro jaan ke bachchon ka ek khel
dekho to aur qaumon mein kya ittihad hai
daulat se aur ilm se har ek shad hai
tum mein bhi aaj aisa koi KHush-nihad hai
mahmud ka ye qaul hamein ab to yaad hai
do din rahe jo aa ke jahan mein to khal gae
aaKHir ko misl-e-KHar-e-chaman se nikal gae
ai sakinan mauza-e-jugwur assalam
duniya hai aaj tum ko har ek baat ka payam
ab to nikalo apni dilon se KHayal-e-KHam
achchha nahin jo ghair ke ban jao tum ghulam
achchhi nasihaton pe amal phir zarur hai
koi na ye kahe ki sarasar qusur hai
apne umur mein na karo ghair ko sharik
shar ko na DhunDho aur karo KHair ko sharik
achchhe nahin safar jo karen sair ko sharik
kabe ke zikr mein na karo dair ko sharik
tum KHud rahe ho sahib-e-iqbaal dahr mein
kyun DhunDte ho zaiqa-e-shahd zahar mein
aKHlaq ka charagh bujhana na chahiye
zulmat-kada mein ghair ke jaana na chahiye
sachchi nasihaton ko bhulana na chahiye
tum ko kisi fareb mein aana na chahiye
allah ke bharosa pe har kaam tum karo
dushman bhi jis ko man len wo nam tum karo
Nazm
Nazm ittihad
Mirza Altaf Husain Alim Lucknwi