اردو हिंदी
Nazm | Shaahi Shayari
nazm

Nazm

Nazm

Gopal Mittal

;

tum ne dekha tha us ke chehre ko
the kahin karb ke koi aasar

tum use maut kah rahe the magar
KHwab-e-rahat mein wo to sota tha

aur pasmandgan ke sine mein
jis jahannam ki aag jalti thi

juz KHuda kaun jaan sakta hai
saKHt hairat hai log is par bhi

matam-e-marg kar rahe hain magar
matam-e-zindagi nahin karte