اردو हिंदी
Nazm-go ke liye mashwara | Shaahi Shayari
nazm-go ke liye mashwara

Nazm

Nazm-go ke liye mashwara

Daniyal Tareer

;

nazm kahoge
kah loge kya?

dekho itna sahl nahin hai
banti baat bigaD jati hai

aksar nazm akaD jati hai
chalte chalte

la ko markaz man ke
ghumne lag jati hai

laDte laDte
lafzon ke hathon ko

chumne lag jati hai
sidhe raste par muDti hai

moD pe sidha chal paDti hai
harf ko barf bana deti hai

barf mein aag laga deti hai
chup ka qufl laga kar gungi ho jati hai

dhima dhima bolte yak-dam ghurraati hai
nazm kahoge

kah loge kya
dekho itni sahl nahin hai

banti baat bigaD jati hai
rah mein sans ukhaD jati hai