al-aman
taziyane gunahgar hathon mein hain be-gunahon ki KHair
wo jo qazi adalat gawah o sanad ilm-o-danish aur tahrir se munsalik ek riwayat ki tahzib thi
wo kahin kho gai
ek lamba safar ruk gaya
kis liye ruk gaya
al-hazar
al-hazar! ye darinda-sifat nim wahshi mubtala-e-junun taziyane liye
tazyanon ki zad mein taDapta badan KHun ugalta badan
kaisi kuchli hui KHwahishon wahshiyana hawas-kariyon ka nishana bana
kis jibillat ki taskin ka saman hua
al-madad al-madad ai KHuda!
taziyane gunahgar hathon mein hain
be-gunahon ki KHair!

Nazm
Nazm
Fatima Hasan