suno ki shayad ye nur-e-saiqal
hai us sahife ka harf-e-awwal
jo har kas-o-nakas-e-zamin par
dil-e-gadayan-e-ajmain par
utar raha hai falak se ab ke
suno ki is harf-e-lam-yazal ke
hamin tumhin bandagan-e-be-bas
alim bhi hain KHabir bhi hain
suno ki hum be-zaban-o-bekas
bashir bhi hain nazir bhi hain
har ek ulul-amr ko sada do
ki apni fard-e-amal sambhaale
uThega jab jism-e-sarfaroshan
paDenge dar-o-rasan ke lale
koi na hoga ki jo bacha le
jaza saza sab yahin pe hogi
yahin azab-o-sawab hoga
yahin pe roz-e-hisab hoga
Nazm
Nazm
Faiz Ahmad Faiz