tirgi jal hai aur bhaala hai nur
ek shikari hai din ek shikari hai raat
jag samundar hai jis mein kinare se dur
machhliyon ki tarah ibn-e-adam ki zat
jag samundar hai sahil pe hain mahi-gir
jal thame koi koi bhaala liye
meri bari kab aaegi kya jaaniye
din ke bhaale se mujh ko karenge shikar
raat ke jal mein ya karenge asir?
Nazm
Nazm
Faiz Ahmad Faiz