abhi kuchh din mujhe is shahr mein aawara rahna hai
ki ab tak dil ko us basti ki shamen yaad aati hain
jahan bele ki jhaDi mein kisi nagin ki banbi thi
abhi tak dil ye kahta hai ki us basti mein phir jao
bharo daman ko phulon se badan nagin se Daswao
jahan ab hun wahan bela hai na nagin ki banbi hai
isi karan ye zalim dil mujhe uljhae rakhta hai
isi karan mujhe is shahr mein aawara rahna hai
magar jis din ye rishta yaad ka TuTa to phir us din
na dil hoga na ye ehsas hi ki dil bhi rakhte the
ki meri zat mein jo nag hai wo mujh ko Das lega
abhi kuchh din mujhe is shahr mein aawara rahna hai
Nazm
Nazm
Chaudhary Mohammad Naeem