اردو हिंदी
Nazm | Shaahi Shayari
nazm

Nazm

Nazm

Bimal Krishn Ashk

;

aashiq wo ahl-e-hawas ke bich mein do ek aisi Trophiyan thin
sab ko ye malum tha Teamen barabari ki rahengi

sab badan ke hausle hain jeb ki karigari hai
jo retire ho gaya wo gerwe kapDe pahan kar

ruh ki mala ke ek sau aaTh dane bechta hai
sab badan ke hausle the

pensionen tanKHwah ka aksar tihai hi rahi hain
aur qimat dhire dhire umr ki surat falak ko chhu rahi hai

ek aur nau ki ye nisbat
pople munh mein kasili rakh hi ka zaiqa deti rahi hai

wo KHuda ke nek bande hain ki jin ki jeb mein paisa nahin hai
muflisi ke board ghar ghar muft banTe ja rahe hain

qabz se baDh kar koi neamat nahin hai
laDkiyan lipstick suno skurts jeans mangti hain

jeb ki karigari thi
sab badan ke hausle the jeb ki karigari thi