nahin main kisi yunani almiye ka
markazi kirdar nahin
na hi main is liye bana tha
main to ek KHamosh tamashai hun
hazaron sal pattharon mein jakDe
kisi markazi kirdar ki aankhen
jab shahin se nochwai jati hain
aur jab wo dard se karah kar kahta hai
main tamam pyar karne walon ke liye ek karbnak manzar hun
ya salha-sal samundaron mein bhaTakne wale sayyahon se
KHuda jab un ke ghar aane ka din chhin leta hai
ya jab koi sarkash markazi yunani kirdar
apne aabai KHuda se muskura kar kahta hai
taKHliq ke baad mujh par tumhaara koi haq nahin raha
to main apne baghal wale masum tamashai se
machis mang kar apna cigarette sulga leta hun
KHuda ya ye log kitne bewaquf hain
mujhe zindagi ka koi tajraba nahin
shayad apni ghaltiyon ko hans kar bhulne ke fuqdan ko tajraba kahte hain
ya phir shayad isi iKHtilaj-e-kam-tari ko
zehn ke frame mein band rakhne ko
shayad mujhe malum nahin
ye sadi dard-e-zachgi se karah rahi hai
aur main tawariKH ke shatirana sehn mein
baiTha soch raha hun
main nahin ye duniya zaif ho gai hai
aur jald hi mar jaegi
magar muarriKH mere bare mein kya likhenge
Nazm
Nazm
Ain Rashid