wo ek lamha
jo sar paTakta hai pattharon par
paDa hua hai jo sham ke phailte dhuwen mein lahu mein lat-pat
wo ek lamha
ki jis ki KHatir hazaron sadiyan karoDon barson se aabla-pa
magar wo lamha
safar ki pili udasiyon ke kabutaron ke paron se uljha
sawad-e-manzil ki mishalon mein
pighal pighal kar ayan hua hai
wo ek lamha
sulagte shabdon ki ungliyon se gira jo niche
to dhans gaya phir aTal maani ki daldalon mein
magar ye achchha hua ki us dam
khajur bhar kar jahaz aae
tamam nazren khajur ki guThliyon mein inzal DhunDti thin
wo chhe mahine hamal uThae hamare ghar ki qadim zinat
na siDhiyon par
na khiDkiyon mein
na chae ki pyaliyon se uThte dhuwen ke pichhe
tamanna kaghaz pe phail jae to us ki shiddat ka nam TuTe
safed bakri ki aankh se kaun jhankta hai
tumhein KHabar hai
tumhein KHabar ho to mujh se kah do
main apne walid ki qabr ka rasta talashun
idhar bhi suraj mein sara manzar lahu lahu hai
udhar bhi sayon mein sari aanhken dhuan dhuan hain
ye band aankhon mein kaun chhup kar
badan ke andar ko jhankta hai
KHamoshiyon ke khanDar mein gunji
KHamoshiyon ke khanDar mein gunji azan fajar ki
wazu ke pani ke sath sare gunah Tapke
dua mein us ne sharab mangi to
tishnagi ke sarab chhalke
sitare niche utar ke aae
wo ek lamha
shikastagi ke badan ke andar
wo ek lamha
shikastagi ke badan se bahar
wo ek lamha hazar sadiyon ke bandhanon se nikal kar aaya
wo ek lamha jo dastaras ke wasia halqon se dur rah kar
rutubaton mein baDi tamazat se muskuraya
muqaddaron mein hazar lamhon ke darmiyan jis ka taKHt KHali
lahu mein lat-pat wo ek lamha
wo ek lamha jo sar paTakta hai pattharon par!
Nazm
Nazm
Adil Mansuri