aaj bahut se lafz jo rah gae the
aur wo ThiThurte hue harf
jin ko yakja karna ba-mushkil tha
kuchh jazbaat jo dil ke
daman se lag kar sisak rahe the
sochon ka be-hangam hujum
jo dimagh ki hudud se musalsal Takra raha tha
ehsasat jin ki kokh mein
udasi bechaargi past KHali ne janm liya tha
un mein kai jazbe bhi the
jin ki dauran-e-hamal hi maut ho gai
kuchh TukDe bhi the siyah-baKHti ke
kuchh rahzan bhi jo KHayalat ki aabru
luT liya karte the
aaj un rahzanon ko suli par chaDha diya gaya
insaf hua aur insaf ye hua ki
tum dur baiThe dekh rahi thi bahut KHamoshi
aur dilchaspi ka mojid bana khel khel ke liye
aaj in sab lafzon harufon ehsasat
jazbaat aur sochon ko
tere KHayal se ghusl diya
araq-e-gulab jo teri suji aankhon
se bah raha tha
is araq ko lashe par chhiDakte hue
aaj unhen dafna diya gaya
Nazm
Nazm
Zeef Zia