sach kah dun ai barhaman gar tu bura na mane
tere sanam-kadon ke but ho gae purane
apnon se bair rakhna tu ne buton se sikha
jang-o-jadal sikhaya waiz ko bhi KHuda ne
tang aa ke main ne aaKHir dair o haram ko chhoDa
waiz ka waz chhoDa chhoDe tere fasane
patthar ki muraton mein samjha hai tu KHuda hai
KHak-e-watan ka mujh ko har zarra dewta hai
aa ghairiyat ke parde ek bar phir uTha den
bichhDon ko phir mila den naqsh-e-dui miTa den
suni paDi hui hai muddat se dil ki basti
aa ek naya shiwala is des mein bana den
duniya ke tirathon se uncha ho apna tirath
daman-e-asman se is ka kalas mila den
har subh uTh ke gaen mantar wo miThe miThe
sare pujariyon ko mai pit ki pila den
shakti bhi shanti bhi bhagton ke git mein hai
dharti ke basiyon ki mukti prit mein hai
Nazm
Naya shiwala
Allama Iqbal