اردو हिंदी
Naya safar | Shaahi Shayari
naya safar

Nazm

Naya safar

Mahmood Ayaz

;

talluqat ka afsun kuduraton ka ghubar
dilon ka bughz, mohabbat ke daeron ka hisar

masarraton ka har ek rang, gham ka har lamha
guzarti mauj ke manind ubhar ke Dub gaya

KHulus o mahr o adawat ki sari zanjiren
palak jhapakne ki mohlat mein jal ke rakh huin

na kaTne wale kaThin din KHayal o KHwab hue
na aane wale jo din the wo aa ke bit gae

gham-e-firaq shab-e-intizar subh-e-visal
bas ek gard-e-zamana muhit hai sab par

ye subh-e-nau hai ki sham-e-hayat ki manzil
ye iKHtitam-e-safar hai ki ibtida-e-safar