اردو हिंदी
Naya safar hai purane charag gul kar do | Shaahi Shayari
naya safar hai purane charag gul kar do

Nazm

Naya safar hai purane charag gul kar do

Sahir Ludhianvi

;

fareb-e-jannat-e-farda ke jal TuT gae
hayat apni umidon pe sharmsar si hai

chaman mein jashn-e-warud-e-bahaar ho bhi chuka
magar nigah-e-gul-o-lala sogwar si hai

faza mein garm bagulon ka raqs jari hai
ufuq pe KHun ki mina chhalak rahi hai abhi

kahan ka mahr-e-munawwar kahan ki tanwiren
ki baam-o-dar pe siyahi jhalak rahi hai abhi

fazaen soch rahi hain ki ibn-e-adam ne
KHirad ganwa ke junun aazma ke kya paya

wahi shikast-e-tamanna wahi gham-e-ayyam
nigar-e-zist ne sab kuchh luTa ke kya paya

bhaTak ke rah gain nazren KHala ki wusat mein
harim-e-shahid-e-raana ka kuchh pata na mila

tawil rahguzar KHatm ho gai lekin
hanuz apni masafat ka muntaha na mila

safar-nasib rafiqo qadam baDhae chalo
purane rah-numa lauT kar na dekhenge

tulu-e-subh se taron ki maut hoti hai
shabon ke raj-dulare idhar na dekhenge