phir naya sal dabe panw chala aaya hai
aur miTte hue maddham se nuqush
daur-e-mazi ki KHalaon mein nazar aate hain
jaise chhoDi hui manzil ka nishan
jaise kuchh dur se aati hui aawaz-e-jaras
kaun sahme hue mayus diyon ko dekhe
phir bhi ye mujh ko KHayal aata hai
kitni nau-KHez ummidon ko sahaare na mile
kitni Dubi hui kashti ko kinare na mile
zulf lahrai pe sawan ki ghaTa ban na saki
subah hansti rahi bujhte rahe kitne chehre
chuDiyan TuT gain mang ke sindur ujDe
god viran hui
naghme taKHliq hue honT sile
kitne fan-paron ke ambar lage
shah-rahon pe jalane ke liye
aashiyane ka tasawwur hi abhi aaya tha
bijliyan kaund gain
hiroshima chiKH uTha
kitna pur-haul saman
kitni bhayanak tariKH
ye mah-o-sal ke phaile hue jal
phir naya sal dabe panw chala aaya hai
roz-o-shab jaise andhere mein luTeron ke giroh
apni tarik kamin gahon mein chhap kar baiThen
aur damanda sara hi koi
ajnabi rahon se Darta hua ghabraya hua
apni koi hui manzil ki taraf jata ho
aur luTere ise tanha pa kar
us ke sine ka lahu le len ummidon ke diye bujh jaen
kaun lekin dil insan ki tapish chhin sake
phir naya sal dabe panw chala aaya hai
kitni barik hai ye subh ki pahli kiran
kaun jaane ki nai dam bhi kya laegi
kan mein aaj bhi manus sada aati hai
wahi dollar ka tilism
wahi tahzib-o-tamaddun ke purane dawe
wahi pasmanda mamalik ki taraqqi ka fareb
wahi tariKH siyasat ke purane shatir
atomi jang ka elan kiya karte hain
kaun lekin dil-e-insan ki tapish chhin sake
irtiqa aahan-o-faulad se kis tarah ruke
TuT jaenge mah-o-sal ke phaile hue jal
phir naya sal dabe panw chala aata hai
jao tarik makanon mein charaghan kar do
aaj zanjir ki ek aur kaDi TuT gai
aaj duniya ke awam
apne sine se lagae hue apni tariKH
apne hathon mein nae ahd ka farman liye
ek nai rah pe baDhte hi chale jate hain
roz-o-shab jaise andhere mein luTeron ke giroh
hath bandhe hue qadmon pe jabinen rakh den
phir naya sal dabe panw chala aaya hai
jao tarik makanon mein charaghan kar do
Nazm
Naya sal
Akhtar Payami