taghayyur ka sailab aaya
to zanjiren sari uTha le gaya
shahanshahiyat ka
sunahra samundar hawa le gai
aur sab ki nazar
ek kale amame ki jaanib pur-ummid ho kar uThi
suna tha ki kale amame ke andar
nae mausamon ke
tilismat-KHanon ki sab kunjiyan hain
magar is amame ke andar
naya hukm-nama
bahut KHub-surat se KHanjar se lipTa hua so raha tha
wo jaga
to chaaron taraf
KHun ki badliyan
qatl ki aandhiyan
shor karne lagin
gunahgar kya
be-gunahon ki sari safen kaT gain
KHun hi KHun har samt bahne laga
aur sab ne lahu ki fasilon se dekha
ki kala amama shahanshahiyat ka naya ek samundar
sambhaale khaDa tha
Nazm
Naya hukm-nama
Sultan Subhani