barson se ye baam-o-dar ki jin par
mahki hui subh ke hain bose
yaadon ke yahi nagar ki jin par
sajte hain ye sham ke dhundalke
ye moD ye rahguzar ki jin par
lagte hain udasiyon ke mele
hain mere aziz mere sathi
kab se mera aasra rahe hain
sunte hain ye mere dil ki dhaDkan
jaise ye mujhe sikha rahe hain
hans-bol ke umr kaT dena
mere yahi dast-o-pa rahe hain
barson se ye meri zindagi hain
barson se main in ko jaanta hun
hain meri wafa pe ye bhi nazan
har baat main in ki manta hun
lekin mere dil ko kya hua hai
main aaj kuchh aur Thanta hun
lagta hai ye shahr-e-dil-baran bhi
hai panw ki mere koi zanjir
bas ek hi raat ek din hai
har roz wahi purani taswir
har subh wahi purane chehre
ho jate hain sham ko jo dil-gir
ab aur kahin se chal ke dekhen
kis tarah sahar ki narm kaliyan
kirnon ka salam le rahi hain
jag uThti hain kis tarah se galiyan
sab kaam pe aise ja rahe hain
jaise ki manaen rang-raliyan
dekhen kahin sham ko nikal kar
Dhalte hue ajnabi se sae
yun hath mein hath le rahe hon
jaise kahin ghas sarsarae
is tarah se panw chal rahe hon
jaise kai pi ke laDkhaDae
aane hi ko hon milan ki ghaDiyan
suraj kahin gham ka Dubta ho
mahki ho kahin pe shab ki dulhan
kachnar kahin pe khil raha ho
har gam pe ek naya ho aalam
har moD pe ek naya KHuda ho
Nazm
Naya ahd-nama
Khalilur Rahman Azmi