han to main aap se kahta tha janab
zindagi jabr ki paband nahin rah sakti
aur naddi usi dhaare pe nahin bah sakti
jis mein mazi ki chitaon ke siwa
jis mein marghaT ki hawaon ke siwa
aur to kuchh bhi nahin kuchh bhi nahin hai shayad
aap be-kar meri baat pe jhunjhlate hain
kaun kahta hai ki mazi ko bura kahta hun
main kahun ye kisi dushman ne uDai hogi
main to kahta hun ki tariKH ke sine se sharare le kar
apni duniya ke KHas-o-KHar jala hi dunga
zindagi ke sabhi aqdar samajh leta hun
'mir' aur 'dard' ke ashaar samajh leta hun
main ne us shama ki lo aur baDha hi di hai
apne mahaul mein ghaalib ne jalaya tha jise
main to iqbaal ki azmat ki qasam khata hun
aap be-kar meri baat pe jhunjhlate hain
baat itni hai ki main un ki hi buniyaadon par
ek nae ahd ki taqdir banane ke liye
ek nae waqt ki taswir banane ke liye
kuchh nae saz baja leta hun
main pujari hun mohabbat ke usulon ka magar
ishqiya sher mujhe yaad nahin
jin mein seThon ko nawabon ko maza aata hai
jin ko pazeb ki jhankar nigal jati hai
mujh ko masnui mohabbat nahin bhati lekin
main ne insan ki pasti ka nishan dekh liya
kar-KHanon ka dhuan dekh liya
saikDon sae bhaTakte hue larzan tarsan
baal uljhe hue mathe pe lakiren raqsan
apne kandhe pe uThae hue tariKH ka bojh
apne hathon se chalate hue tahzib ki naw
bhuk se panw to uThte nahin par uThte hain
aur malik ki tijori hai bhari jati hai
ek malik ke hazaron hain ghulam
jis tarah saikDon bandon ka faqat ek KHuda
aur usi ek hi malik ka wajud
aur usi ek KHuda ka paikar
han to main aap se kahta tha janab
lijiye aap to munh phir chuke so bhi gae
Nazm
Naya adab
Akhtar Payami