اردو हिंदी
Naya aahang | Shaahi Shayari
naya aahang

Nazm

Naya aahang

Akhtar-ul-Iman

;

kiraman-katibin aamal-nama likh ke le jaen
dikhaen KHaliq-e-kaun-o-makan ko aur samjhaen

maani aur lafzon mein wo rishta ab nahin baqi
lughat alfaz ka ek Dher hai lafzon pe mat jaana

naya aahang hota hai murattab lafz o mani ka
mere haq mein abhi kuchh faisla sadir na farmana

main jis din aaunga taza lughat hamrah launga