barson ki riyazat ke baad
zindagi ke tamam numayan usulon ke
faulad bante hue se daeron ko
toD kar
Thik dil ke bichon-bich
ek inch chhed karne ki kaamyab training
hum ne le li hai
aur ab to
jis thaali mein khate hain
us mein chhed karne ka gur bhi hamein aa gaya hai
mana ki darindon ke bhi
shikar karne ke apne usul hote hain
ThanDe aur garm gosht ki
unhen bhi tamiz hoti hai
ek hum hain
ki kis darja kamtar ho gae hain
phir bhi hamari afzaliyat
har jagah barqarar hai
ki hum ashraf-e-maKHluq kahlate hain
lekin aaj
hamein ye e'tiraf karna hi paDega ki
concrete ke bane is jangal mein
haiwan-e-natiq se kahin behtar
ye jangali suar hote hain
Nazm
Naya aadam
Shamim Qasmi