ye rang-o-bu ye nazare ye bazm-arai
niyaz-o-naz-o-ada husn ishq ranai
shabab-e-nazm-o-ghazal dar pai-e-shakebai
mujhe ye saat-guzran kahan pe le aai
qarar dekh liya iztirar dekh liya
gham-e-habib gham-e-rozgar dekh liya
udas chehron pe uDta ghubar dekh liya
nawa-e-shauq ko be-iKHtiyar dekh liya
KHizan-gazida sa rang-e-bahaar dekh liya
guman-darida yaqin tar tar dekh liya
tamam ishwa-e-husn-e-nigar dekh liya
junun ka sajda sar-e-ku-e-yar dekh liya
sawad-e-aql-o-KHirad be-waqar dekh liya
raha na KHud ka bhi phir e'tibar dekh liya
kabhi jo dekha na tha bar bar dekh liya
na ibtida ki KHabar hai na intiha malum
nawishta-e-pas-e-diwar kya hai kya malum
Nazm
Nawishta-e-pas-e-diwar
Sarwar Alam Raz