ai KHwab-e-KHanda
tujhe to main DhunDne chala tha
mujhe KHabar hi nahin thi tu meri ungliyon mein khila hua hai
mere sadaf mein tere hi moti hain
meri jebon mein tere sikke khanak rahe hain
nawa-e-gumrah-e-dasht-e-shab ke nujum teri hatheliyon par chahak rahe hain
mere KHala mein tamam samten tere KHala se utar rahi hain
mujhe KHabar hi na thi
ki meri nazar ki ainak mein tere shishe juDe hue hain
tujhe to main DhunDne chala tha
tujhe to main DhunDne chala tha
kisi salib-e-kuhan pe dar-o-rasan ke tarik raston ki
thakan mein farhad kohkan ki sada-e-sad-chaak mein kisi chuk
main ubalte hue lahu mein khile gul tifl-e-be-gunah ke bikharte rangon
ki ungli thame tujhe to main DhunDne chala tha
shab-e-tarab hai
shab-e-tarab mein na saz utre na nur bikhra
na baadalon ne phuwar bheji
na jhil ne mahtab ugla
shab-e-tarab hai ai KHwab-e-KHanda
shab-e-tarab mein mari talab ka rabab ban ja
bujhi ragon mein sharab ban ja
ai KHwab-e-KHanda meri angeThi ka KHwab ban ja
ki shab ka aahan pighalne tak meri chimniyon ke dhuen mein
jugnu malhaar gaen
Nazm
Nawa-e-gumrah-e-shab
Javaid Anwar