kitna matam karun
apne dil ke us hisse ka
jo tumhaare pas rah gaya
kitna sog manaun
apni aankhon ki us chamak ka
jo tumhaare aansuon
tumhaari muskurahaT mein phiki paD gai
apni zindagi ko
kaise bahar nikalun
us qabr se jo main ne nahin khodi
apni mohabbat ko kaise wapas laun
us raste se jo main ne nahin banaya
kis tarah dekh paunga
un chizon ko
jin ko tum ne dekha
tum ne dekha
kis tarah guzarta hun
main un chizon ke darmiyan se
jin ke darmiyan se
ab tum guzar nahin sakogi
Nazm
Nauha
Zeeshan Sahil