اردو हिंदी
Nauha | Shaahi Shayari
nauha

Nazm

Nauha

Kaifi Azmi

;

rahne ko sada dahr mein aata nahin koi
tum jaise gae aise bhi jata nahin koi

Darta hun kahin KHushk na ho jae samundar
rakh apni kabhi aap bahata nahin koi

ek bar to KHud maut bhi ghabra gai hogi
yun maut ko sine se lagata nahin koi

mana ki ujalon ne tumhein dagh diye the
be-raat Dhale shama bujhata nahin koi

saqi se gila tha tumhein mai-KHane se shikwa
ab zahr se bhi pyas bujhata nahin koi

har subh hila deta tha zanjir zamana
kyun aaj diwane ko jagata nahin koi

arthi to uTha lete hain sab ashk baha ke
naz-e-dil-e-betab uThata nahin koi